Barson ki chahat ko ek pal mein badalty dekha humny,
Toot kar chahny walon ko baat se mukarty dekha humny,
Naaz karte thy jo apni wafaon par,
Unhi ko bewafai karte dekha humny,
kaisey saja lein sapny hum apni udas aakhon mein ?
Har khuwab ko toot kar bikharte dekha humny,
karty thy jo Wada humesha saath chalny ka phir unhi ko rasta badalty dekha
humny,
Aitabar nahi raha kisi par bhi ab to,
Kia karein is aitabar ko bhi kaie baar marty dekha humne..!